phul patthar ki chatanon pe khilaen hum bhi aap kahiye to koi sher sunaen hum bhi ret par khelte bachchon ki nazar se bach kar aao ek khwab ki taswir banaen hum bhi ab ke mausam ki hawaon mein badi wahshat hai zard patton ki tarah tut na jaen hum bhi qafile aur bhi is dasht se guzre honge le ke aae hain faqiron se duaen hum bhi log jalte hue ghar dekh ke khush hote hain apna ghar ho to kabhi aag lagaen hum bhi muntazir hai koi wadi koi basti koi dasht ab pahadon se pighal kar utar aaen hum bhi hum se kya kahte ho fayyazi-e-dast-e-khairaat isi kuche mein lagate hain sadaen hum bhi