phul se logon ko mitti mein mila kar aaegi chal rahi hai jo hawa sab kuchh fana kar jaegi zindagi guzregi mujh ko raund kar pairon tale maut lekin mujh ko sine se laga kar jaegi wo kisi ki yaad mein jalti hui sham-e-firaq khud bhi pighlegi meri aankhon ko bhi pighlaegi aane wale mausamon ki sar-phiri pagal hua ek din teri judai ke tarane gaegi aane wala waqt bhi roega mere waste aane wale mausamon ko yaad meri aaegi ai mere sathi ye tere chhod jaane ki kasak mujh ko dimak ki tarah andar hi andar khaegi ye husul-e-zar ki khwahish ek lanat ki tarah aakhir ek din tujh ko apnon se juda kar jaegi zindagi ek bad-chalan aawara ladki hai 'sarosh' dekh lena ek din ye bhi tujhe thukraegi