phulon mein ek rang hai aankhon ke nir ka manzar tamam-tar hai ye fasl-e-zamir ka rishta wo kya hua meri aankhon se nir ka muddat hui hai hadsa dekhe zamir ka pani utar gaya to zamin sanglakh thi tikha sa har sawal tha ranjhe se hir ka teri azan ke sath main uthta hun pau phate sar mein liye hue koi sajda asir ka dekha na doston ne imarat ke us taraf puchha kabhi na haal kisi ne faqir ka aaina gir pada tha mere hath se kabhi phir yaad hadsa nahin koi zamir ka sahra-e-jism ruh ke andar utar gaya ab kya dikhae mo'jiza insan zamir ka aansu ki ek bund ko aankhen taras gain is dhup mein jhulas gaya doha kabir ka aadha falak ke pas tha aadha zamin par main na-tamam khwab tha badr-e-munir ka pakke huruf gard ki surat bikhar gae sine mein ghaw rah gaya kachchi lakir ka hoti rahengi barishen 'ahmad' visal ki khali rahega jam hamesha faqir ka