phulon se rasm-o-rah kiye ja raha hun main amrit samajh ke zahr piye ja raha hun main ek uns ho gaya hai gham-e-ashiqi ke sath danista ek gunah kiye ja raha hun main jis ki mujhe zamane se qimat na mil saki wo kaenat-e-dard liye ja raha hun mein mana ki zindagi meri nakaam hai magar koi to baat hai ki jiye ja raha hun main lakhon sitam udhar se idhar ek khamushi duniya ko ek payam diye ja raha hun main diwangi mein farz-shanasi nahin gai daman-e-gul ke chaak siye ja raha hun main 'mazhar' kisi ke chashm-e-taghaful ke bawajud ummid-e-iltifat kiye ja raha hun main