phuT chuki hain subh ki kirnen suraj chaDhta jaega

By nazish-partap-gadhiNovember 11, 2020
phut chuki hain subh ki kirnen suraj chadhta jaega
raat to khud marti hai sitaro tum ko kaun bachaega
jo zarra janta mein rahega wo tara ban jaega
jo suraj un ko bhulega wo aakhir bujh jaega


tanha tanha ro lene se kuchh na banega kuchh na bana
mil-jul kar aawaz uthao parbat bhi hil jaega
mana aaj kada pahra hai hum biphre insanon par
lekin socho tinka kab tak tufan ko thahraega


kyun chinta zanjiron ki hathkadiyon se darna kaisa
tum angara ban jao loha khud hi gal jaega
janta ki aawaz daba de ye hai kis ke bas ki baat
har wo shisha tutega jo patthar se takraega


punji-patiyon yaad rakho wo din bhi ab kuchh dur nahin
band tijori mein har sikka angara ban jaega
dukh mein rona-dhona kaisa murakh insan hosh mein aa
tu is bhatti mein tap-tap kar kundan banta jaega


tan ke nasuron ko ujle kapdon se dhanpa lekin
kis parde mein le ja kar tu man ka kodh chhupaega
kis ne samjha hai dhalte suraj ka ye sandesh yahan
jo bhi bol bada bolega ek din munh ki khaega


63176 viewsghazalEnglish