pila saqiya arghawani sharab

By ameer-minaiOctober 24, 2020
pila saqiya arghawani sharab
ki piri mein de naujawani sharab
wo shoala hai saqi ki ranjak ki tarah
uda deti hai na-tawani sharab


kahan baada-e-aish taqdir mein
piyun main to ho jae pani sharab
na laya hai shisha na jam-o-subu
pilata hai saqi zabani sharab


kahan aql-e-barna kahan aql-e-pir
nae se hai behtar purani sharab
mere chehra-e-zard ke aks se
hui saqiya zafrani sharab


hue mast dekha jo phulon ka rang
piyalon mein thi arghawani sharab
kahan chashma-e-khizr kaise khizar
khizar hai meri zindagani sharab


khizar hun agar main to ja kar piyun
sar-e-chashma-e-zindagani sharab
gulistan hai phulon se kya lal lal
chale saqiya arghawani sharab


ajab saqiya gandumi rang hai
ki partaw se banti hai dhani sharab
rahe taq par parsai 'amir'
pilae jo wo yar-e-jaani sharab


28115 viewsghazalEnglish