pinhan tha khush-nigahon ki didar ka maraz band aankh jab hui to hamara khula maraz be-dar-o-visal na ye jaega maraz sach hai firaq-e-yar ka hai jaan-guza maraz kya bad-bala hai ishq-e-kuhan-sal ka maraz hota hai naujawan ko ye barha maraz mohlik tha kaisa un ki mulaqat ka maraz badhte hi un se rabt mera ghat gaya maraz kya jaanen kaun rog hai ishq-e-bala-e-jaan saya hai koi ya ki jhapatta hai ya maraz isa ke pas bhi koi is ki dawa nahin kahte hain jis ko ishq wo hai maut ka maraz wada visal ka na koi sach kiya kabhi tum ko bhi jhut bolne ka ho gaya maraz aaina-ru jahan koi dekha phisal gaya aage hamare dil ko to aisa na tha maraz buqraat kya masih bhi dekhen to den jawab tere mariz-e-ishq ka hai la-dawa maraz danton pe shefta the hue ab fida-e-lab tha rog ek to ye hua dusra maraz aaram dard-e-ishq se dil ko kamal hai sehat se bhi aziz mujhe hai siwa maraz waqif hain hum natija-e-azar-e-ishq se be-gaur ke jhankae to ye ja chuka maraz ulfat ke aarzi ki dawa hai ajal ke pas jate hue kabhi nahin aisa suna maraz kya kya taras taras ke nikalti hai jaan-e-zar is ishq ka hai sab marazon se siwa maraz dil ko hamare ulfat-e-ariz hai aarzi kya ai 'qalaq' raha hai kisi ka sada maraz