piTh par jis ne Tika rakkha tha ghar TuT gai
By nand-kishore-anhadFebruary 27, 2024
pith par jis ne tika rakkha tha ghar tut gai
man ko jaise hi mili meri khabar tut gai
jhuk ke rahna yun mohabbat mein mera bhaari pada
jab kiya hijr ne sidha to kamar tut gai
baadban bandhne yakja hue kashti ke sawar
bandhte bandhte ummid magar tut gai
qabl aane se tere shahr mein sailab aaya
muntazir thi jo teri rahguzar tut gai
hath wo phul jinhen tham ke dil sabz hua
nain wo tegh ki sine ki sipar tut gai
kab pata tha ki shabon ki hain hawaen namnak
zang khati hui ek roz sahar tut gai
ek ek sans pe japna hai koi nam 'anhad'
lekin anfas ki mala hi agar tut gai
shor tha aur thi pani ki tarah chot us ki
khub mazbut thi chup-gagri magar tut gai

92949 viewsghazal • English