puchhe hai mera dil teri tanhai se kya kya

By maqsood-afaqNovember 5, 2020
puchhe hai mera dil teri tanhai se kya kya
pahlu mein koi shakhs numudar hua kya
dil sail-e-hawas mein to pahunchta hai kahin aur
madhosh musafir ho to manzil ka pata kya


ai zehn-e-rasa kuchh sipar-andaz to ho ja
dekhen to jawab aate hain aflak se kya kya
kyun phailti jati hai koi khushbu-e-manus
dil abr ki manind tere dar se utha kya


ai rahbar-e-maruf ye taskin-e-safar kyun
tujh ko nazar aaya mera naqsh-e-kaf-e-pa kya
aaya hun bari ho ke main aiwan-e-khirad se
ye shahr-e-mohabbat hai yahan meri saza kya


ek zakhm mahakta hai tumhaara rag-e-jaan par
samjhun main use apni wafaon ka sila kya
hai mahw-e-tamanna dil-e-azurda ki dekhe
pindar-e-mohabbat mein hai andaz-e-khuda kya


'afaq' mere chand ke bare mein na puchho
aa jae wo angdai pe to raqs-e-saba kya
58662 viewsghazalEnglish