puchhta hai mujhse kya ho jaun main

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
puchhta hai mujh se kya ho jaun main
ye ishaara hai fana ho jaun main
ek rak’at ki nahin koi namaz
tu 'ata ho to ada ho jaun main


imtihan le lun main sazindon ka kya
gate gate be-sura ho jaun main
tu kisi ka hai magar hai to wahi
kya pata phir mubtala ho jaun main


us ki pahli hi nazar hai kimiya
dekh le to dusra ho jaun main
soch lo achchhi tarah aisa na ho
intiqaman ba-wafa ho jaun main


44615 viewsghazalEnglish