puchhte hain wo ishq ka matlab ab nikal jaega mera matlab us pe zahir hua mera matlab kash pura kare khuda matlab kah diya un se barmala matlab ab khuda chahe to hua matlab baat puri abhi nahin nikli munh se tum le ude mera matlab kahte hain arz-e-wasl par wo kaho dusri baat dusra matlab hai ye matlab na kuchh zaban se kahun main samajhta hun aap ka matlab jo tamanna hai tum pe zahir hai har ghadi puchhne se kya matlab dil mein jo kuchh tha un se kah na saka lab pe aa aa ke rah gaya matlab muddaa hai wahi jo pahle tha aur main kya kahun naya matlab ru-ba-ru un ke baat kar na saka khat mein aakhir ko likh diya matlab baat kya hai wo mujh se puchhte hain waqia qissa majra matlab wasta ghair ka nahin achchha khub banta hai barmala matlab tum jo mil jao kaam ban jae aur us ke siwa hi kya matlab aaj khush khush bashir phirte hain nikla arman muddaa matlab