pukarta hun ki tum hasil-e-tamanna ho agarche meri sada bhi sada-ba-sahra ho jahan tumhaara hai hoga wahi jo tum chaho mujhe bhi chahne do kuchh agar to phir kya ho jahan o ahl-e-jahan ko kisi se kaam nahin mere qarib to aao ki tum bhi tanha ho zamana madfan-e-ayyam hai khamosh raho na jaane kaun hamari sada ko sunta ho bharam khula hai to aise har ek ko dekhta hun ki jaise main ne kabhi aadmi na dekha ho tera karam hai ki mein tere dam se jita hun mera nasib ki tu mere dam se ruswa ho tere khayal mein gum ho ke tai kiye main ne wo marhale ki jahan mauj aabla-pa ho saza-e-zist qayamat sahi magar hum log wo zinda hain jinhen har roz roz-e-farda ho dhadakte dil ki sada bhi ajib shai hai 'zafar' ki jaise koi mere sath sath chalta ho