pur hai daman chaman ka Khaaron se

By iram-lakhnaviJanuary 3, 2024
pur hai daman chaman ka kharon se
dam ulajhta hai in bahaaron se
kya shikayat fareb khane ki
sabiqa hai fareb-karon se


yas ko hum ne dur hi rakkha
kaam jab tak chala sahaaron se
bich dariya mein dubne wale
kya ta'alluq hamein kinaron se


ai shab-e-gham ye dekhta kya hun
raushni chhin gai sitaron se
sair-e-nazzargi nahin hoti
koi kah de tere nazaron se


log sun sun ke muskuraate hain
waqt ki madh be-qararon se
bas usi ek se hai kaam 'iram'
kaun uljha kare hazaron se


98404 viewsghazalEnglish