pur-KHulus jazbon ka dan to nahin lete
By aarif-nazeerAugust 7, 2024
pur-khulus jazbon ka dan to nahin lete
jaan kahne walon ki jaan to nahin lete
ek zara sa ye sun kar tum se pyar hai hum ko
yun kaman-e-abru ko tan to nahin lete
main jo kahna chahun tum khud hi bol dete ho
raaz-e-dil haqiqat mein jaan to nahin lete
go guzishta 'ashiq hai kuchh bharam to banta hai
jaan le chuke the na man to nahin lete
ye to aap hain 'arif' itne sar-chadhe hain jo
warna har kisi ki hum man to nahin lete

16451 viewsghazal • English