pur-nur zindagi ki sahar kho rahe hain log

By nayyar-qureshi-gangohiSeptember 28, 2023
pur-nur zindagi ki sahar kho rahe hain log
suraj chadha hua hai magar so rahe hain log
kaise khilenge phul mohabbat ke shahr mein
kante jab apni rah mein khud bo rahe hain log


chehre fasurda-haal hain aankhen bujhi bujhi
azm-o-amal se dur ye kya ho rahe hain log
mumkin nahin hayat ki manzil nasib ho
rah-e-farar dhund ke jab so rahe hain log


har dam urus-e-waqt ki barham-mizajiyan
ek taza inqalab ko phir ro rahe hain log
rahat ka zikr chhodiye kaise mile qarar
har lamha gham ke bojh ko jab dho rahe hain log


kuchh un ke ikhtiyar-e-mohabbat pe sochiye
hanste hue jo dagh-e-jigar dho rahe hain log
haalat sazgar hon hargiz nahin ye gham
kahne ko hans rahe hain magar ro rahe hain log


tamir-e-zindagi se gurezan hai zindagi
'nayyar' nashat-e-kaif mein gum ho rahe hain log
23083 viewsghazalEnglish