pura na shab-e-gham ka kabhi silsila hua

By arpit-sharma-arpitOctober 2, 2021
pura na shab-e-gham ka kabhi silsila hua
waqt-e-sahar utha main dua mangta hua
har har nafas mein lafz-e-mohabbat zaban pe hai
mujh mein na jaane kaun hai ye bolta hua


paya nahin kisi ne bhi ye raaz-e-kaenat
wo shakhs kho gaya hai khuda dhundhta hua
us se chhupa na paega tu apna haal-e-dil
aankhon ka aaina hai abhi bolta hua


bimar tha to puchhne aae nahin mizaj
mayyat pe aaj us ki hai mela laga hua
kal chaudhwin ki raat bhi 'arpit' tamam raat
bhatka hun apne aap ko main dhundhta hua


90522 viewsghazalEnglish