purane ahd-name gar ufuq par naqsh ho jate

By abid-razaFebruary 17, 2025
purane ahd-name gar 'ufuq par naqsh ho jate
muqaddas abr-pare is zamin ke zakhm dho jate
agar ek surma ran mein sawere sar na de jata
kai be-nam pyaade sham ki ghati mein kho jate


haweli se tilismi bansuri ki lai nida deti
kahani kahte kahte qissa-go dyodhi mein so jate
sulagti thi mahalle mein nahusat ki agarbatti
farishte phir yahan 'ud-e-sa'adat kaise bo jate


agar aashuftagi ki aanch se dide na jal uthte
pari-zadon ke panw aansuon se hum bhigo jate
chhalakti hongi aawazen sama'at ke piyalon se
kabhi socha ki is manzar ko aankhon mein dubo jate


uqubat-gah-e-duniya se chale jab to khayal aaya
khamoshi ke badan mein apni chikhen hi chubho jate
azal se tha yahi ma'mul budhe dewtaon ka
thakan se subh-dam bistar pe girte aur so jate


93384 viewsghazalEnglish