purane ghaw nae dukh bhulane baiThe hain
By muzaffar-erajOctober 25, 2023
purane ghaw nae dukh bhulane baithe hain
dukanen lutf-o-karam ki sajaane baithe hain
hamin ko wo bhi samajhte hain behis-o-bekar
ki apni prem kathaen sunane baithe hain
hujum-e-nauha-garan mein hun mutmain jaise
ye log mera hi matam manane baithe hain
tumhaare baad jacha hi nahin koi hum ko
ye phul-jism hamein kyon lubhane baithe hain
ye jaan kar hi to main khud ko dafn kar aaya
wo meri gor pe aansu bahane baithe hain
wo shakhs jis ne kiya un ko har jagah ruswa
usi ki pith wo ab thapthapane baithe hain
mera suragh kahin bhi na un ko mil paya
ab apne aap ko chuna lagane baithe hain
main fasl-e-gul se bhi fasl-e-khizan se bhi hun khush
mera yaqin wo kyon dagmagane baithe hain
karam hamein to rafiqon ne das liya 'iraj'
sitam ki kate ko marham lagane baithe hain

82127 viewsghazal • English