pyar kiya to Darna kya jab pyar kiya to Darna kya
By shakeel-badayuniMay 9, 2022
pyar kiya to darna kya jab pyar kiya to darna kya
pyar kiya koi chori nahin ki chhup chhup aahen bharna kya
aaj kahenge dil ka fasana jaan bhi le le chahe zamana
maut wahi jo duniya dekhe ghut ghut kar yun marna kya
un ki tamanna dil mein rahegi shama isi mahfil mein rahegi
ishq mein jina ishq mein marna aur hamein ab karna kya
chhup na sakega ishq hamara chaaron taraf hain un ka nazara
parda nahin jab koi khuda se bandon se parda karna kya

29866 viewsghazal • English