pyar mein pakizgi thi wo zamana aur tha
By bhagwan-khilnani-saqiFebruary 26, 2024
pyar mein pakizgi thi wo zamana aur tha
jab mohabbat zindagi thi wo zamana aur tha
har bashar ko gham uthane mein maza aata tha jab
gham mein bhi ek tazgi thi wo zamana aur tha
jam par hum jam pite the sharab-e-nab ke
ek musalsal tishnagi thi wo zamana aur tha
ghumte the hum bayabanon mein gulshan ki tarah
kya hasin aawargi thi wo zamana aur tha
justuju-e-'ishq mein rahta tha sargardan bahut
husn mein jab sadgi thi wo zamana aur tha
lutf tha 'saqi' hamari zindagi mein jin dinon
maut bhi ek zindagi thi wo zamana aur tha

82629 viewsghazal • English