pyas bikhri hui hai basti mein
By raziq-ansariNovember 14, 2020
pyas bikhri hui hai basti mein
aur samundar hai apni masti mein
kitna niche gira liya khud ko
aap ne shakhsiyat parasti mein
kyun karen hum zamir ka sauda
hum bahut khush hain faqa-masti mein
kal bulandi pe aa bhi sakte hain
ye jo baithe hain aaj pasti mein
sufiyana mizaj hai apna
mast rahte hain apni masti mein
aur samundar hai apni masti mein
kitna niche gira liya khud ko
aap ne shakhsiyat parasti mein
kyun karen hum zamir ka sauda
hum bahut khush hain faqa-masti mein
kal bulandi pe aa bhi sakte hain
ye jo baithe hain aaj pasti mein
sufiyana mizaj hai apna
mast rahte hain apni masti mein
57300 viewsghazal • English