qaba-e-jaan ko sar-e-rah tar-tar na kar ye zindagi hai ise nazr-e-intishaar na kar hum ahl-e-dil hain mohabbat hamara shewa hai hamare sath siyasat ka karobar na kar juda hua hai to mujh ko na dhund raston par bichhad gaya hai to ab mera intizar na kar hamein na dekh hamare amal ki kar tauqir wajud-e-asl-e-haqiqat ko sangsar na kar qubul hum ko teri be-rukhi ka har andaz magar tu yun sar-e-bazar hum pe war na kar uchhaal phir na faza mein lahu ki ye bunden sitam ki tegh ko yaron ke dil ke par na kar