qabu mein dil ho to kahen shaida na kijiye

By kishan-kumaar-waqaarNovember 5, 2020
qabu mein dil ho to kahen shaida na kijiye
apne ko apne hath se ruswa na kijiye
dil le ke bosa dete nahin aur ye kahte hain
apne parae mein kahin charcha na kijiye


rindan baada-khwar mein hai aib-e-sar-kashi
kham kis tarah se gardan-e-mina na kijiye
isa se un ki chashm-e-sukhan go ye kahti hai
mere mariz-e-ishq ko achchha na kijiye


munh pheriye na lal-e-shakar kha ke bose se
dil apne talkh-kaam ka khatta na kijiye
khun-reziyan tapakti hain pa-e-hinai se
fitna khiram-e-naz ka barpa na kijiye


aaghaz ishq ko diya anjam-e-girya ne
ab kya 'waqar' kijiye aur kya na kijiye
31707 viewsghazalEnglish