qad tera sarw-e-rawan tha mujhe malum na tha

qad tera sarw-e-rawan tha mujhe malum na tha
gulshan-e-dil mein ayan tha mujhe malum na tha

dhup mein gham ki abas ji kun jalaya afsos
us ke sae mein aman tha mujhe malum na tha

yar ne abru o mizhgan sin mujhe said kiya
sahib-e-tir-o-kaman tha mujhe malum na tha

sab jagat dhund phira yar na paya lekin
dil ke goshe mein nihan tha mujhe malum na tha

khak tere qadam-e-pak ki ai nur-e-nigah
surma-e-dida-e-jaan tha mujhe malum na tha

main samajhta tha ki us yar ka hai nam-o-nishan
yar benam-o-nishan tha mujhe malum na tha

roza-daran-e-judai kun kham-e-abru-e-yar
mah-e-id-e-ramazan tha mujhe malum na tha

nigah-e-shokh ne dil ek karishme mein liya
kya bala saif-e-zaban tha mujhe malum na tha

shab-e-hijran ki na thi tab mujhe misl-e-'siraj'
rukh tera nur-fishan tha mujhe malum na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close