qadam qadam pe tamanna-e-iltifat to dekh zawal-e-ishq mein saudagaron ka hat to dekh bas ek hum the jo thoda sa sar utha ke chale isi rawish pe raqibon ke waqiat to dekh gham-e-hayat mein hazir hun lekin ek zara nigar-e-shahr se mere talluqat to dekh khud apni aanch mein jalta hai chandni ka badan kisi ke narm khunuk gesuon ki raat to dekh ata kya dil-e-muztar to si diye mere hont khuda-e-kaun-o-makan ke tawahhumat to dekh gunah mein bhi bade marifat ke mauqe hain kabhi kabhi use be-khadsha-e-najat to dekh