qaem hai surur-e-mai-e-gulfam hamara kya gham hai agar tut gaya jam hamara itna bhi kisi dost ka dushman na ho koi taklif hai un ke liye aaram hamara phulon se mohabbat hai taqaza-e-tabiat kanton se ulajhna to nahin kaam hamara bhule se koi nam wafa ka nahin leta duniya ko abhi yaad hai anjam hamara ghair aa ke bane hain sabab-e-raunaq-e-mahfil ab aap ki mahfil mein hai kya kaam hamara mausam ke badalte hi badal jati hain aankhen yaran-e-chaman bhul gae nam hamara