qafas ko tod ke main baal-o-par bhi dekhunga jo baal-o-par hon salamat to ghar bhi dekhunga phir is ke baad na kahna sada-ba-sahra thi main apni baat ka tujh par asar bhi dekhunga yahan to sab hi purani rawish pe chalte hain main ab bana ke nai rah-guzar bhi dekhunga milunga tum se to mangunga roz-o-shab ka hisab rahunga ghar mein to phir baam-o-dar bhi dekhunga main khush bahut tha bahaaron ke darmiyan manzar khabar na thi ki khizan ka guzar bhi dekhunga