qafas se dur jaana chahte hain
By sonia-aks-sonamJanuary 5, 2024
qafas se dur jaana chahte hain
parinde aashiyana chahte hain
guzaren zindagi kab tak akele
tere pahlu mein aana chahte hain
ghani hai dhup sar par mushkilon ki
sukun ka shamiyana chahte hain
khusha qismat hamein wo chahta hai
jise ahl-e-zamana chahte hain
tumhaara tazkira sun sun ke mujh se
sitare muskurana chahte hain
tumhaare nam ki ek dhun bana kar
hamesha gungunana chahte hain
ye kuza-gar meri mitti se 'sonam'
na jaane kya banana chahte hain
parinde aashiyana chahte hain
guzaren zindagi kab tak akele
tere pahlu mein aana chahte hain
ghani hai dhup sar par mushkilon ki
sukun ka shamiyana chahte hain
khusha qismat hamein wo chahta hai
jise ahl-e-zamana chahte hain
tumhaara tazkira sun sun ke mujh se
sitare muskurana chahte hain
tumhaare nam ki ek dhun bana kar
hamesha gungunana chahte hain
ye kuza-gar meri mitti se 'sonam'
na jaane kya banana chahte hain
39686 viewsghazal • English