qafila dil ka luT gaya hota

By ustad-azmat-hussain-khanJanuary 5, 2024
qafila dil ka lut gaya hota
husn rahzan koi mila hota
apne dil par hi e'tibar nahin
aap ka e'tibar kya hota


shikwa-e-gham na kar mohabbat mein
ye na hota to aur kya hota
jalwa-e-husn kar-farma tha
warna yun tur jal gaya hota


main khud apni nazar mein aa na saka
warna yun tujh ko dhundhta hota
husn hota gham-ashna 'maikash'
'ishq-e-masrur mudda'a hota


46745 viewsghazalEnglish