qafile gae phir bhi kuchh ghubar baqi hai

qafile gae phir bhi kuchh ghubar baqi hai
did ka teri ab tak intizar baqi hai

dil ko tutna hi tha tut ke wo bikhra bhi
han magar abhi tak kuchh yaadgar baqi hai

dubti rahi kashti sagaron ki lahron mein
sahilon pe tum honge e'tibar baqi hai

chand khud musafir hai sath kab talak dega
rahbaron ka ab bhi kyun intizar baqi hai

phul bikhre rahon mein hai hasin safar lekin
raste mein ab bhi kuchh khar-zar baqi hai

khatm ho hi jaegi tirgi ghamon ki ab
subh hone wali hai intizar baqi hai

zindagi jo jina hai us ke waste ai 'shad'
dher sari khushiyon ka aabshaar baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close