qahat-e-wafa-e-ahd-o-paiman hai in dinon zoron pe ehtiyat-e-dil-o-jaan hai in dinon malun hain jo mausam-e-gul ke junun mein hain matruk rasm-e-chaak-gareban hai in dinon ye rasm-e-raftagan thi faramosh ho gai apne kiye pe kaun pasheman hai in dinon aankhen hain khushk surat-e-sahra-e-be-giyah sina hujum-e-ashk se giryan hai in dinon ye kaisa ohda hai ki meri chashm-e-khwab mein naqsh-e-qadam bhi dida-e-jabran hai in dinon darta hun apne sans ki sunta hun jab sada dahshat bahut qarib-e-rag-e-jaan hai in dinon dida-daron ke ghar pe musallat hai tirgi andhon ki anjuman mein charaghan hai in dinon bad-tar hai jaanwar se bhi danishwaron ka haal jo sochta nahin hai wo insan hai in dinon har bul-hawas dhani hai muqaddar ka aaj-kal har be-zamir sahab-e-imkan hai in dinon tujh se gila nahin hai ki tu phir bhi ghair tha mera wajud mujh se gurezan hai in dinon ji chahta hai ru-e-zamin par bikher dun jo dard meri ruh mein pinhan hai in dinon kaise chhudaun kaise likhun sharh-e-dard-e-nau har ek lafz zinat-e-zindan hai in dinon yaadon ke phul hadd-e-nazar tak khile hain phir dasht-e-firaq rashk-e-gulistan hai in dinon