qaid mein rahte hain jab tak bhi jiye jate hain halqe zanjir ke phir tod diye jate hain raunaqen chand sitaron ki liye jate hain chandni raat ko be-nur kiye jate hain ye tabassum na sahi husn ki saughat sahi dard ko ek chamak aur diye jate hain khak hone pe bhi kam hota nahin jazba-e-ishq raushni shama ki parwane liye jate hain surkh aankhon se tapak kar ye gulabi aansu mere daman ko bhi rangin kiye jate hain dub jati hai sawere hi se suraj ki kiran jab sar-e-sham charaghon ke diye jate hain jin ko duniya mein sambhalne ki ijazat na mili zindagi bhar ke wo arman liye jate hain zindagi meri to ginti hai gareban ke shigaf aap kyon daman-e-hasti ko siye jate hain saqiya rind to mohtat hain majbur nahin aks mai-khana ka aankhon mein liye jate hain 'fazl' aain mohabbat ka badalne ke liye ahl-e-dil kis liye majbur kiye jate hain