qais wo natawan-e-sahra hai kalbud nistan-e-sahra hai aatish-e-ishq se hai sina garm jalwa-e-barq jaan-e-sahra hai tere diwana ke liye zanjir mauj-e-rang-e-rawan-e-sahra hai gham mein kis shoala-ru ke dud-e-ah aatish-e-dudman-e-sahra hai hai jo farhad dawati-e-koh qais bhi mehman-e-sahra hai haif paik apna rah-ghalat-karda taza chashm-e-rawan-e-sahra hai hai har ek harf chashm-e-ghul 'waqar' is ghazal mein bayan-e-sahra hai