qalandar tha koi sultan tha main

By sharafat-sameerMay 9, 2022
qalandar tha koi sultan tha main
koi din dasht mein mehman tha main
gira dekha uthaya na kisi ne
ki la-waris koi saman tha main


chhua tum ne to mujh mein jaan aai
to kya itne dinon be-jaan tha main
mujhe ek aadmi ne mar dala
khata itni thi ek insan tha main


tumhein main yaad ab tak bhi nahin hun
hato bhi itna to aasan tha main
duaen thin kisi ki sath mere
bina daulat ke bhi dhanwan tha main


'samir' ab to hawale gard ke hun
mohabbat ka koi diwan tha main
65401 viewsghazalEnglish