qalb-e-hasti-e-figar dekh liya
By aziz-badayuniOctober 28, 2020
qalb-e-hasti-e-figar dekh liya
aarzu ka mazar dekh liya
hosh gum ho gae zamane ke
zindagi ka khumar dekh liya
lab-kusha yun hua koi ghuncha
jaise ek aabshaar dekh liya
phir koi bar bar kyun dekhe
jab tujhe ek bar dekh liya
daman-e-sabr tar tar hua
aap ka intizar dekh liya
zindagi bhi hamein 'aziz' nahin
aarzu ka mazar dekh liya
aarzu ka mazar dekh liya
hosh gum ho gae zamane ke
zindagi ka khumar dekh liya
lab-kusha yun hua koi ghuncha
jaise ek aabshaar dekh liya
phir koi bar bar kyun dekhe
jab tujhe ek bar dekh liya
daman-e-sabr tar tar hua
aap ka intizar dekh liya
zindagi bhi hamein 'aziz' nahin
aarzu ka mazar dekh liya
56308 viewsghazal • English