qalb-o-nazar ka sukun aur kahan dosto

qalb-o-nazar ka sukun aur kahan dosto
ku-e-butan dosto ku-e-butan dosto

mera hi dil hai ki main phirta hun yun khanda-zan
kam nahin pardes mein dil ka ziyan dosto

jin mein khulus-e-wafa aur na shuur-e-sitam
mujh ko bithaya hai ye la ke kahan dosto

chaar ghadi raat hai aao ki hans bol len
jaane sahar tak ho phir kaun kahan dosto

rabt-e-marasim ke baad tark-e-talluq ghalat
aag bujhane se bhi hoga dhuan dosto

lakh chhupo saya-e-gesu-e-shab-rang mein
mil nahin sakti magar gham se aman dosto

shair-e-'arshad' hun main shaer-e-fitrat hun main
mit nahin sakta mera nam-o-nishan dosto


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close