qamar han mein badli nahin rafta-rafta

By qamar-malalFebruary 28, 2024
'qamar' han mein badli nahin rafta-rafta
ki hum se khula wo hasin rafta-rafta
gali mein tahalne ko nikla tha kal wo
makanon se nikle makin rafta-rafta


maza kuchh to aae bichhadne ka hum ko
badha chah ai ham-nashin rafta-rafta
so ek ek munkir ne rakh di bil-akhir
tere aashiyan par jabin rafta-rafta


kisi ka na ehsan uthaya ki hum to
hue khak apne tain rafta-rafta
hua tir paiwast-e-jaan dhire-dhire
hui aankh wo surmagin rafta-rafta


chale barq-raftari se su-e-aflak
kiya aasman ko zamin rafta-rafta
82760 viewsghazalEnglish