qarib aa ki irade lahu ke dekhte hain
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
qarib aa ki irade lahu ke dekhte hain
dahakti aag ko honthon se chhu ke dekhte hain
udhar ugati hai faslen idhar duboti hai
karishme hum bhi teri aabju ke dekhte hain
unhen ho parwa hi kyon pyar karne walon ki
wo hausle to faqat jang-ju ke dekhte hain
ek ek kar ke gharon ko jalae jata hai
karishme roz kisi sulh-khu ke dekhte hain
zara si dhup badan ko giran guzarti hai
ye log khwab magar rang-o-bu ke dekhte hain
main jaanta hun aziyyat-pasand logon ko
jo muskura ke manazir lahu ke dekhte hain

45128 viewsghazal • English