qarib aane lage hain dur ke din

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
qarib aane lage hain dur ke din
wahi ji han hamein manzur ke din
ghalat auqat mein nazil hue hum
farishton ki hain raaten hur ke din


zabanen kat kar samjhaya us ne
ye hain sultani-e-jamhur ke din
wo uthte kyon nahin sajde mein hain jo
gae kya sarmad-o-mansur ke din


mukammal chhut hai nashtar-zani ki
mubarak hon nae nasur ke din
akadte the bahut lo aa gae na
nae changez aur taimur ke din


mili iman ki munh mangi qimat
bada matam hua masrur ke din
31987 viewsghazalEnglish