qarnon purana waqt ko lalkarta hua
By balraj-hairatJanuary 2, 2024
qarnon purana waqt ko lalkarta hua
ek shahr hai hamare bhi andar basa hua
suljha raha tha arz ki wo gutthiyan sabhi
sab ke liye khud ek mo'amma bana hua
shayad nizam-e-shamsi ke sine ka khwab tha
main dekhta raha jise aankhen bana hua
ab us ko aaftab mein dhalne ka hukm do
ek ashk-e-gham hai nok-e-mizha par khada hua
khud mein na jazb kar lun kahin teri zat ko
sar-ta-qadam main zauq-e-talab mein racha hua
phir chha raha hai zehn par ek saya dosto
sab kuchh sametta hua khud phailta hua
tanha tumhin to markaz-e-asrar-e-dil na the
main bhi wahin kahin tha tumhein dekhta hua
ruhen na jaane kaun si duniya mein kho gain
ek jism chikhta hai sadak par pada hua
kab tak rahun hazar jahan-dar-jahan liye
main darmiyan azal aur abad ke khada hua
ummid koi harf-o-hikayat se thi kise
lekin nigah-e-naz tujhe bhi ye kya hua
hathon se daman-e-dil chhutta hua

72680 viewsghazal • English