qarya-e-jaan se ho kar guzarta tha jo rasta ya-aKHi
By shehzad-anjum-burhaniJanuary 5, 2024
qarya-e-jaan se ho kar guzarta tha jo rasta ya-akhi
ek saya bahut der us par tahalta raha ya-akhi
apne hi aap se der tak hum bhi dast-o-gareban rahe
dhund chhatne lagi aur suraj nikalne laga ya-akhi
na-rasai ka ehsas bhi darmiyan-e-yaqin aa gaya
chand qadmon pe manzil thi aur rasta kho gaya ya-akhi
hum ki abr-e-karam ki tamanna mein dasht-o-jabal tak gae
ek tufan ghubar-ashna kar gaya tha faza ya-akhi
ab to jaan tak utarne laga khud-kalami ka dukh kya kahen
itna aasan nahin apne hi aap se bolna ya-akhi
jis ke hathon mein dale hue hath phirte the hum raat-din
kya tumhein yaad hai tum batao ki wo kaun tha ya-akhi
khud-farebi hi is 'ahd mein zinda rahne ka saman hai
mar hi jaen agar chhod den khwab ka dekhna ya-akhi

38637 viewsghazal • English