qasam in aankhon ki jin se lahu tapakta hai mere jigar mein ek aatish-kada dahakta hai guzishta kahish o andoh ke khayal thahar mere dimagh mein shola sa ek bhadakta hai kisi ke aish-e-tamanna ki dastan na kaho kaleja meri tamannaon ka dhadakta hai ilaj-e-'akhtar'-e-na-kaam kyun nahin mumkin agar wo ji nahin sakta to mar to sakta hai