qasam le lo miyan kuchh bhi nahin hai

By shahzad-faizOctober 3, 2023
qasam le lo miyan kuchh bhi nahin hai
hamare darmiyan kuchh bhi nahin hai
main phirta hun jise sar par uthae
agar hai aasman kuchh bhi nahin hai


mere phal phul patte jhad gae hain
teri khatir khizan kuchh bhi nahin hai
main pyasa thal hun ek nazdik mere
nadi nale kuan kuchh bhi nahin hai


tumhaare ba'd paude ped jugnu
parinde titliyan kuchh bhi nahin hai
yaqin tujh ko agar stamp par hai
to kya meri zaban kuchh bhi nahin hai


muqabil 'ishq ke main aa gaya tha
mera nam-o-nishan kuchh bhi nahin hai
tumhaare bin kahan pazeb jhumke
anguthi chudiyan kuchh bhi nahin hai


tere dam se hai ghar jannat wagarna
ye ‘ali-shan makan kuchh bhi nahin hai
mohabbat mein wafadari are wah
chale jao yahan kuchh bhi nahin hai


kahan qalmen dawaten aur imla
kahan ab takhtiyan kuchh bhi nahin hai
bhala kis kaam ki aankhen hamari
agar aab-e-rawan kuchh bhi nahin hai


main wo bachcha hun jis ki dastaras mein
khilaune toffiyan kuchh bhi nahin hai
hua izn-e-safar jab chal padenge
hamara 'faiz' yan kuchh bhi nahin hai


55041 viewsghazalEnglish