qasid nahin ye waqt sawal-o-jawab ka

By shankar-lal-shankarNovember 19, 2020
qasid nahin ye waqt sawal-o-jawab ka
ab haal ghair hai dil-e-khana-kharab ka
tum dekhne ki chiz ho dekha kare koi
ye husn ye jamal ye aalam shabab ka


tamhid-e-be-khudi tha kahan tha hawas-o-hosh
khalwat mein aa ke un ka ulatna naqab ka
kya aatish-e-firaq ne dil par asar kiya
in aansuon mein mere maza hai kabab ka


hum ne to apni aankh se dekha nahin unhen
qissa suna hai hazrat-e-'shankar' ke khwab ka
38679 viewsghazalEnglish