qatra qatra nam miTTi mein

By ishrat-afreenFebruary 6, 2024
qatra qatra nam mitti mein
boen apne gham mitti mein
ye mitti hai aur tarah ki
jamte nahin qadam mitti mein


ye bachche hain aur hi dhab ke
khelte hain kam-kam mitti mein
ek imkan aur ek andesha
donon hain baham mitti mein


sachchal sain kya takte ho
mil gaya ek 'alam mitti mein
shah bhatai kuchh to bolo
kuchh to ho dam-kham mitti mein


tum bhi ralte dekh rahe ho
bachche aur parcham mitti mein
kaisi anokhi fasl uthi hai
apne lahu se nam mitti mein


nange suraj se ladta hai
hariyali ka gham mitti mein
jab bhi konpal hath hilae
dekhun naya janam mitti mein


sab ko ek din mil jaana hai
kya tum aur kya hum mitti mein
37918 viewsghazalEnglish