qayamat rag zalim bhaw kafir gat hai ai panna tumhaare husn so dekhe so ek aafat hai ai panna sughad jitne hain ye ye sab tujhi ko pyar karte hain siyane sau hai par un sau ki ek hi mat hai ai panna laga jati hai apna danw aur mera bacha jati tu apne kaam mein bankait aur rawat hai ai panna teri kanchan baran si deh jis ki god mein howe use duniya ke ayyashon mein kya daulat hai ai panna nahin leti hamara nam hum kun yan talak bhuli tujhe hum aur kuchh ab kya kahen rahmat hai ai panna