qillat khulus ki hai mohabbat ka kal hai is shahr-e-na-sipas mein jina muhaal hai pedon pe chandni ke hayule hain mahw-e-raqs kamre mein tirgi ki lakiron ka jal hai sanson ka rabt jaise musalsal azab ho wo shakhs kya jiye jise tera khayal hai lamhon ne chhin li hai ruton se shaguftagi ye sal mausamon ke taghayyur ka sal hai ab to shikast-e-jaan ke amal se najat de ye na-tawan wajud dukhon se nidhaal hai chidiyan chahak chahak ke pareshan ho gain kawwon ka shor ghar ki faza ka wabaal hai phulon ka lams chand ki thandak bhi hech hai wo khush badan to aap hi apni misal hai aa phir se mere pyar ki taqdis ban 'niyaz' aa kanpte labon pe tera hi sawal hai