qismat ko apne likkhe ke tain kaun dho sake sab ho sake wa-lek ye itna na ho sake phulon ki sej us ke liye farsh-e-khar hai tujh bin kisi tarah tera aashiq na ho sake tujh bin na kar sake mai-e-ishrat se halq tar khun-nab-e-gham se lab tera aashiq na ho sake gar chahe gulshan-e-dil-e-pur-dagh ki bahaar tu tukhm-e-ashk jitne ki ai dida bo sake dekha asar tumhaara bhi ai chashm-e-ashk-bar kuchh kar sake na us ka ghar apna dubo sake dil ki hawas nikal len aah-o-fughan bhi aap ye bhi na darguzar karen jo un se ho sake nain jaan-o-dil ke khone 'jahandar' ko daregh yaad us ki par na jaan-o-dil apne se kho sake