qismat to dekho mah-e-mubin tak pahunch gae ek shab ye hont un ki jabin tak pahunch gae sadiyon ka fasla tha hamare liye magar tum ek pal mein han se nahin tak pahunch gae ye kis ke naqsh-e-pa pe chale ja rahe the hum khwabon mein raat 'arsh-e-barin tak pahunch gae daudenge sath sath ragon mein lahu ke ab ye gham tumhaare qalb-e-hazin tak pahunch gae baitha tha jis jagah pe wo mahfil mein gul-badan hum bhi sarak sarak ke wahin tak pahunch gae darta hun chhod den na kahin naqsh-e-pa yahan 'sayyad' wo dil ki narm zamin tak pahunch gae