qissa-e-husn nahin ishq ki rudad nahin

By raz-chandpuriNovember 14, 2020
qissa-e-husn nahin ishq ki rudad nahin
haif ye bazm tere zikr se aabaad nahin
morid-e-ranj-o-alam kushta-e-bedad nahin
wae bar-aish jahan mujh ko khuda yaad nahin


ham-safiran-e-chaman wah ye pursish ye karam
ab mujhe shikwa-e-be-mehri-e-sayyaad nahin
main hun nashad-e-azal khair magar hairat hai
ishrat-abaad-e-jahan mein bhi koi shad nahin


qissa-e-jaur-e-falak shikwa-e-ayyam-e-zubun
ek afsana hai jis ki koi buniyaad nahin
sarfaroshan-e-mohabbat pe khuda ki rahmat
muddai sab hain magar ek bhi fariyaad nahin


wah ai manzar-e-khush-waqti-e-manzil qurban
dasht-e-ghurbat ki masaib bhi mujhe yaad nahin
main khatawar magar tere karam ke qurban
ek majbur to yun mustahiq-e-dad nahin


'raaz' ye nama-e-ahsan ye payam-e-izzat
wae taqdir ki main aaj bhi aazad nahin
91844 viewsghazalEnglish